INDUSTRIAL POLLUTION CONTROL AND ENVIRONMENTAL AUDIT Notes
INDUSTRIAL POLLUTION CONTROL AND ENVIRONMENTAL AUDIT Notes
1. Process Modification – Industrial process ko aise design karo jahan kam heavy metal
use ho ya discharge ho.
2. Material Substitution – Toxic metals ki jagah less harmful materials ka use karo.
3. Recovery and Recycling – Wastewater se heavy metals ko nikal kar dobara use karo.
4. Chemical Precipitation – Chemicals add karke metals ko solid form me badal kar alag
karo.
5. Ion Exchange Technique – Special resin ka use karke metal ions ko remove kiya jata hai.
6. Membrane Filtration (RO/NF) – Filter system laga kar metals ko wastewater se alag kiya
jata hai.
7. Proper Effluent Treatment Plant (ETP) – Industry me ETP lagakar saara waste treat
karke hi discharge kiya jaye.
1. Health Hazards – Lead, mercury jaise metals se cancer, kidney damage, nerve disorders
ho sakte hain.
2. Aquatic Life Damage – Fish aur aquatic plants ko poisonous effect hota hai.
3. Bioaccumulation – Metals food chain me jaakar human body tak pahunch jaate hain.
4. Drinking Water Contamination – Pani peene layak nahi rehta, groundwater bhi kharab
ho jata hai.
5. Soil Fertility Loss – Jab ye metals soil me chhate hain to crops bhi affect hote hain.
6. Legal and Environmental Issues – Environment laws ka violation hota hai, fine aur
license cancel ho sakta hai.
Conclusion: Heavy metals ko treat karna bohot zaroori hai, warna ye health, environment aur economy
— teeno ke liye harmful hote hain. Har industry ko apne discharge ko control karna chahiye with proper
technology and treatment.
Q2. What is toxic organics? How it can be removed from industrial wastewater using various treatment
process?
Ye harmful organic chemicals hote hain jo industry ke waste water me hote hain.
Jaise: Pesticides, Phenols, Solvents, Benzene, etc.
Ye health ke liye dangerous hote hain aur environment ko bhi pollute karte hain.
Mostly ye non-biodegradable hote hain (aasani se degrade nahi hote).
Conclusion:
Toxic organics ko alag-alag treatment methods se hataya ja sakta hai. Har method ka use waste
ke type aur amount par depend karta hai. Proper treatment se pollution aur health risk dono
control hote hain.
Q3. What is wastewater reuse and recycling, and why is it important in water resource management?
Reuse matlab: Treated wastewater ko fir se use karna (jaise: gardening, toilet flushing,
industrial cooling, etc.).
Recycling matlab: Wastewater ko clean karke wapas same process me use karna
(factory ke andar hi).
1. Freshwater Saving – Natural water sources (river, borewell) pe pressure kam hota hai.
2. Sustainable Use – Same water ko baar-baar use kar sakte hain, wastage nahi hota.
3. Industrial Benefit – Industry ka water bill kam hota haEnvironment Protection –
Wastewater direct environment me jaane se pollution hota hai, reuse se yeh bacha ja
sakta hai.
4. Water Scarcity Solution – Jahan paani ki kami hoti hai, wahan ye reuse/recycling bohot
helpful hai.
Conclusion:
Water reuse aur recycling ek smart aur environment-friendly step hai. Har industry aur
community ko is concept ko adopt karna chahiye taaki paani ki kami se bacha ja sake.
Q4. Discuss various waste minimization practices in an industry to reduce pollution load?
1. Process Modification
– Machine ya production steps me change karke kam waste banana.
2. Material Substitution
– Aise raw materials use karo jo kam harmful ho ya easily recyclable ho.
3. Good Housekeeping
– Saaf-safai, leakage control, proper storage se waste kam hota hai.
4. Inventory Management
– Raw material ka record rakhna taki zyada kharidna aur expire hona avoid ho.
5. Waste Recycling and Reuse
– Jo waste bacha, usko treat karke wapas process me use kar lo.
6. Employee Training
– Staff ko sikhana ki waste kaise kam karein aur pollution control kaise karein.
7. Cleaner Technologies Use Karna
– Modern machines lagana jo energy efficient ho aur kam pollution karein.
Conclusion:
Industry me waste kam karna sirf environment ke liye nahi, balki cost saving ke liye bhi zaroori
hai. Ye practices long term me industry ko sustainable banati hain.
Q5. How can governments, industries, and communities collaborate to remove industrial pollution
effectively?
Industrial Pollution ko Hatane ke liye Teenon ka Milkar Kaam Karna Zaroori Hai:
1. Government ka Role:
1. Environmental Laws banayein – Jaise Water Act 1974, Air Act 1981, jisse industries
control me rahein.
2. Monitoring karein – Pollution Control Boards ke through industries ka inspection.
3. Incentives/Schemes de – Pollution control equipment lagane par subsidy mile.
4. Strict Action le – Jo industries rules follow nahi karti, unpar fine ya shutdown.
2. Industries ka Role:
1. Awareness spread karein – Local level par environment ko leke logon ko jagruk karein.
2. NGOs ke through pressure banayein – Galat kaam karne wali industries ko rokein.
3. Report karein – Illegal pollution ya untreated discharge ko authorities ko inform karein.
Conclusion:
Agar Government, Industry aur Public milke kaam karein to industrial pollution ko asaani se
control kiya ja sakta hai. Teamwork hi is problem ka best solution hai.
Q6. Discuss the health impact of fluoride in industrial wastewater. How is fluoride typically removed
from industrial wastewater?
1. Dental Fluorosis – Teeth pe white spots ya yellowish stains pad jaate hain.
2. Skeletal Fluorosis – Bones hard ho jaati hain, joint pain aur stiffness hota hai.
3. Nervous System Damage – Excess fluoride se brain aur nerves par effect padta hai.
4. Drinking Water Contamination – Fluoride mix ho kar groundwater ko unsafe bana deta
hai.
1. Lime Precipitation
– Lime daal kar fluoride ko calcium fluoride banake settle kar dete hain.
2. Activated Alumina Adsorption
– Fluoride ko alumina filter se absorb karke hata dete hain.
3. Ion Exchange
– Fluoride ions ko special resin se replace karke remove kiya jata hai.
4. Nalgonda Technique (Best for small scale)
– Alum + Lime + Bleaching powder ka use karke fluoride ko hatate hain.
– Simple aur cost-effective method hai.
Conclusion:
Fluoride agar wastewater me untreated chhoda gaya to health aur environment dono ke liye
harmful hai. Isliye proper treatment techniques ka use karke usko remove karna zaroori hai.
Q7. What environmental factors influence the rate of biodegradation of organic compounds?
Organic waste (jaise oil, food waste, chemicals) ko microorganisms (bacteria/fungi) degrade
karte hain — is process ko biodegradation kehte hain.
1. Temperature
– Zyada temperature pe bacteria fast grow karte hain, isliye degradation speed fast hoti
hai.
– Bahut high ya low temperature me process slow ho jata hai.
2. Moisture Content (Pani ka amount)
– Bacteria ko grow karne ke liye paani chahiye hota hai.
– Kam moisture se process slow ho jaata hai.
3. Oxygen Availability
– Aerobic degradation ke liye oxygen zaroori hai.
– Agar oxygen nahi hai to anaerobic process hota hai, jo slow hota hai.
4. pH Level
– Neutral pH (6.5–7.5) best hota hai.
– Bahut acidic ya basic environment bacteria ko mar sakta hai.
5. Nutrient Availability
– Bacteria ko carbon ke sath nitrogen, phosphorus bhi chahiye hota hai.
– Agar nutrients kam hain to growth slow ho jaata hai.
6. Toxic Substances
– Agar waste me heavy metals ya pesticides hain to wo bacteria ko damage karte hain.
Conclusion:
Biodegradation ek natural process hai, lekin uski speed environment ke factors pe depend karti
hai. In factors ko control karke waste treatment ko better banaya ja sakta hai.
Q8. How the cyanide can be removed from industrial wastewater?
Cyanide ek highly toxic chemical hota hai jo metal plating, mining, aur chemical
industries ke wastewater me hota hai.
Ye humans aur environment dono ke liye dangerous hota hai.
High temperature (above 1000°C) me cyanide ko burn karke destroy kar dete hain.
Expensive but very effective.
Cyanide ko H₂O₂ ke sath oxidize karke less harmful substance me convert karte hain.
Fast aur efficient method hai.
4. Biological Treatment
5. Ion Exchange/Adsorption
Cyanide ions ko special resins ya activated carbon se absorb karke remove kiya ja sakta
hai.
Small scale ke liye useful hota hai.
Conclusion:
Cyanide ka treatment industries ke liye bohot important hai. Iske removal ke liye mostly
alkaline chlorination use hoti hai, lekin industry ki need ke hisaab se aur methods bhi apply kiye
ja sakte hain.
Q9. How would you consider the economic costs against the environmental and societal benefits in any
industry?
Pollution control equipment lagane, waste treatment plant banane ya green technology
adopt karne me pehle paisa lagta hai.
But ye long-term investment hoti hai.
Environment Safe rehta hai – Clean air, water aur soil milta hai.
Health Issues kam hote hain – Public health better hoti hai, hospital expenses kam.
Social Reputation Banti hai – Eco-friendly image banne se customers aur investors
attract hote hain.
Legal Trouble se Bachaav – Government penalties, court cases se bach jaata hai.
Conclusion:
Jab industry environmental aur societal benefits ko seriously leti hai, to starting me cost aata
hai par future me profit, reputation aur sustainability sab milta hai.
"Short-term cost, long-term gain."
Q10. How gaseous pollutants can be removed from industrial effluents?
1. Scrubbers
Smoke me jo solid/gas particles hote hain unhe electricity ke use se attract karke
remove karte hain.
Particulate matter ke liye best.
3. Incineration (Combustion)
Harmful gases ko high temperature pe burn karke less harmful gases me convert karte
hain.
VOCs aur CO jaise pollutants ke liye useful.
4. Cyclone Separator
Gases ko high-speed circular motion me ghooma ke heavy particles ko alag karte hain.
Dust aur big particles ke liye effective.
Conclusion:
Gaseous pollutants ko control karna health aur environment dono ke liye zaroori hai. Industry
ko proper control devices lagakar in gases ko treat karke hi release karna chahiye.
Q11. What are the primary sources of industrial pollution, and how do they vary across different
industrial sectors?
1. Wastewater Discharge – Chemicals, dyes, heavy metals industrial water me mix hoke
nikalte hain.
2. Air Emissions – Factories se harmful gases (SO₂, CO, NOx) aur smoke nikalta hai.
3. Solid Waste – Production process se bacha hua raw material, ash, packaging waste, etc.
4. Oil and Chemical Spills – Machinery maintenance aur transport ke dauraan leakage hoti
hai.
5. Noise Pollution – Heavy machines aur transport ke kaaran high noise level hota hai.
Conclusion:
Har industry ka pollution type uske raw materials aur process pe depend karta hai. Isliye sector-
wise pollution control strategy banana zaroori hota hai.
Q12. Discuss wastewater treatment process for the industrial effluents through ETP.
Effluent Treatment Plant – Ye system industrial wastewater ko clean karne ke liye lagaya jata
hai.
1. Preliminary Treatment
Large objects (plastic, stones, etc.) ko screen lagakar remove kiya jata hai.
Oil & grease ko skimming tank se alag kiya jata hai.
2. Primary Treatment
Aeration tank me microorganisms use hote hain jo organic waste ko degrade karte hain.
Activated sludge process ya bio-filters use hote hain.
Remaining pollutants (like color, heavy metals, etc.) ko remove kiya jata hai.
Methods: Filtration, Disinfection (UV/Chlorine), Reverse Osmosis (RO).
5. Sludge Handling
Jo solids bache hote hain unko alag treat karke safely dispose ya reuse kiya jata hai.
Conclusion:
ETP wastewater ko treat karke safe banata hai jisse pollution control hota hai. Har industry ko
apne waste ke type ke hisaab se proper ETP lagana chahiye.
Q13. How can industries reduce wastewater generation through process modifications, material
substitutions, or water recycling initiatives?
1. Process Modification:
Machines aur process ko is tarah change karo jisse kam water use ho.
Example: Closed-loop cooling systems jisme same water baar-baar use hota hai.
Leak-proof pipelines aur automatic shut-off valves lagayein.
2. Material Substitution:
Treated wastewater ko dobara use karo (plant cleaning, cooling, gardening, etc.)
Wastewater ko segregate karke only polluted portion treat karo.
Rainwater harvesting aur greywater reuse systems install karo.
Conclusion:
Industry agar smart planning karein to wastewater generation kaafi had tak kam ho sakta hai.
Process change + better material + water reuse = Clean & Cost-saving production.
Q14. What are the strategies and technologies for controlling and reducing particulate pollutants air
pollution from the industrial processes?
Ye solid ya liquid chhoti-chhoti particles hote hain jo hawa me udte hain (jaise: dust, ash,
smoke).
Industrial chimneys se nikalte hain aur health aur environment dono ko harm karte hain.
1. Cyclone Separator
Gases ko ghooma kar heavy dust particles ko settle kar diya jata hai.
Simple aur low-cost method hai.
High voltage electric field se particles ko attract karke collect karte hain.
Thermal power plants me commonly use hota hai.
Dust-filled air ko cloth bags se filter karke clean air release karte hain.
Cement, chemical industries me use hota hai.
4. Wet Scrubbers
5. Process Modification
Aise machines aur raw materials use karo jo kam particulate matter release karein.
Pollution prevention at source is best strategy.
Conclusion:
Particulate pollution ko control karne ke liye industry ko proper technology lagani chahiye. Ye
health, environment aur legal compliance ke liye zaroori hai.
Topic 1:Introduction to Industrial Wastes and Their Sources
Industrial waste wo unwanted materials hote hain jo kisi bhi production process ke baad
bachte hain.
Conclusion:
Industrial waste ka proper management zaroori hai warna ye health aur environment dono ke
liye dangerous ho sakta hai.
Topic 2: Water Quality for Industrial Use
Har industry ko paani chahiye hota hai — washing, cooling, mixing, etc.
Agar paani ki quality kharab ho to machine kharaab ho sakti hai ya pollution badh sakta
hai.
1. pH – Paani kitna acidic ya basic hai. Machines ke liye neutral pH (6.5–7.5) best hota hai.
2. TDS (Total Dissolved Solids) – Paani me kitna salt ya solid mila hai. Zyada hoga to pipe
block ho jaate hain.
3. Hardness – Calcium aur magnesium se hota hai. Ye boiler aur cooling system me deposit
chhoddta hai.
4. BOD (Biological Oxygen Demand) – Paani me organic (gandagi) kitni hai, ye batata hai.
5. COD (Chemical Oxygen Demand) – Paani me chemicals kitne hain, ye dikhata hai.
6. Turbidity – Paani kitna clear hai. Jyada turbidity matlab zyada mitti ya particles mile
hain.
7. Temperature – Garam paani ka effect machines aur aquatic life dono pe padta hai.
Kuch Examples:
Textile Industry – Colour, chemicals aur foam wale paani ka use hota hai.
Food Industry – Clean aur soft water chahiye hota hai.
Chemical Industry – pH aur chemical-free water zaroori hota hai.
Conclusion:
Industry ke liye paani ki quality control karna important hai. Achha paani milega to machines
sahi chalengi aur pollution bhi kam hoga.
Topic 3: Processes Responsible for Deterioration in Water Quality
Jab industrial ya domestic processes se paani me harmful substances mix ho jaate hain, tab uski
quality gir jaati hai.
Factories se untreated chemicals, dyes, metals directly nadi ya nala me chhod diya jaata
hai.
Isse BOD, COD, heavy metals badh jaate hain.
3. Agricultural Runoff
Fertilizers aur pesticides baarish ke paani ke saath nadi/jalashayon me chala jaata hai.
Isse nitrate, phosphate badh jaata hai, jo algae bloom create karta hai.
5. Thermal Pollution
Power plants garam paani discharge karte hain jo water temperature badha deta hai.
Aquatic organisms ko damage karta hai.
6. Toxic Chemicals
Water quality kharab hone ke main kaaran industrial, domestic, aur agricultural processes hain.
Inko control karne ke liye proper treatment aur management zaroori hai.
Solid waste wo gandagi ya extra material hota hai jo industrial process ke baad bacha
reh jaata hai.
Example: Ash, plastic pieces, metal scrap, food waste, packaging material, etc.
Aisa waste jo toxic, reactive, corrosive ya flammable hota hai aur human health aur
environment ke liye dangerous hota hai.
Example: Acids, heavy metals, cyanide, paint sludge, radioactive waste
Conclusion:
Solid aur hazardous waste ka proper treatment na ho to pollution badhta hai. Isliye safe
disposal, recycling aur legal compliance bohot zaroori hai.
Jab awaz ka level zyada ho jaata hai aur human ears ko disturb karta hai, use noise pollution
kehte hain.
Sources in Industry:
1. Heavy machines
2. Compressors and generators
3. Transport vehicles
4. Welding, grinding processes
Impact:
Headache, stress
Hearing loss (long-term exposure)
Sleep disturbance
Irritation
Control Measures:
B. Radiation Pollution:
Harmful invisible rays (like alpha, beta, gamma) jab environment me fail jaati hain to wo
radiation pollution ban jaata hai.
Sources:
Harmful Effects:
Cancer
DNA damage
Skin burns
Reproductive issues
Conclusion:
Noise aur radiation pollution dono health ke liye bohot harmful hain. Isliye inka control karna industry ki
responsibility hoti hai using proper technology and safety measures.
Topic 6: Life Cycle Analysis (LCA)
Life Cycle Analysis ek process hai jisme kisi product ya process ka start se end tak environment par kitna
effect padta hai, uska analysis kiya jata hai.
Kya analyse karna hai, kis product/process ka aur kis level tak.
Example: Plastic bottle ka LCA banana hai for packaging purpose.
2. Inventory Analysis
Har stage me kya input (raw material, energy) aur output (waste, emissions) use/produce hua —
ye list banate hain.
3. Impact Assessment
Inventory data se pata chalta hai ki product ne environment par kya impact dala (air pollution,
water pollution, global warming, etc.).
4. Interpretation
Final result ko analyse karke suggest kiya jata hai ki kaha improvement ho sakta hai.
Example: Plastic Bottle vs Glass Bottle LCA
Conclusion:
LCA help karta hai products ke environmental impact ko reduce karne me. Industries LCA ke base par
better material aur design choose kar sakti hain.
1. Dairy Industry
Wastewater me high BOD aur COD hota hai (milk fats, proteins).
Organic waste zyada hota hai, easily biodegradable.
Treatment: Aerobic biological treatment (activated sludge or trickling filter).
2. Fertilizer Industry
Spent wash generate hota hai — very high BOD & COD.
Dark brown color aur bad smell.
Treatment: Anaerobic digestion + composting or evaporation.
4. Sugar Industry
Cyanide, chromium, nickel jaise toxic heavy metals release hote hain.
Very harmful for environment and health.
Treatment: Chemical precipitation, cyanide destruction, ion exchange.
Har industry ka apna specific waste hota hai, isliye industry-specific treatment aur waste management
plan banana zaroori hota hai.
Ye ek systematic process hota hai jisme check kiya jaata hai ki industry environmental laws
follow kar rahi hai ya nahi.
Objectives:
Benefits:
Pollution control
Legal safety
Public image better hoti hai
Resource saving
2. Environmental Impact Assessment (EIA):
Ye ek process hai jisme naye project ka environment par kya effect padega, uska pehle se hi
analysis kiya jaata hai.
Steps of EIA:
Authorities:
ISO (International Organization for Standardization) ek body hai jo quality aur environment ke
standards banati hai.
Conclusion:
Environmental audit, EIA, aur pollution laws industry ko eco-friendly aur law-following banate hain. ISO
14000 se international level par bhi recognition milta hai.