0% found this document useful (0 votes)
115 views4 pages

Ke Jab Mai Hadd Se Aage Badh Gaya Tha

The document is a poetic expression of longing and love, reflecting on the emotional turmoil of separation and the desire for reunion. It conveys deep feelings of nostalgia, questioning the absence of a loved one and the impact of their memories. The narrator grapples with the complexities of love, happiness, and the hope of reconnecting amidst the pain of distance.

Uploaded by

nutantighare200
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
115 views4 pages

Ke Jab Mai Hadd Se Aage Badh Gaya Tha

The document is a poetic expression of longing and love, reflecting on the emotional turmoil of separation and the desire for reunion. It conveys deep feelings of nostalgia, questioning the absence of a loved one and the impact of their memories. The narrator grapples with the complexities of love, happiness, and the hope of reconnecting amidst the pain of distance.

Uploaded by

nutantighare200
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 4

Ke Jab Mai Hadd Se Aage Badh Gaya Tha

Aashiqui Mein
Yaani Zindagi Ko Le Raha
Mazaak Hi Mai

Phir Mazak Hi Mein


Mil Gaya Sab Khaak Hi Mein
Chhu Kar Aaya Manzilein
To Tanha Tha Mai Wapsi Mein

Jaise Phool Tode Honge


Tumne Jholi Bharke
Mai Wo Phool
Jo Ke Reh Gaya Tha Shaaf Hi Mein

Jaise Khwab Hi Mein


Khwab-gaah Aankh Hi Mein
Pal Se Pal Mein Kya Hua
Tum Reh Gaye Bas Yaad Hi Mein

Ek Sawal Machalta Hai


Mere Dil Mein Kabhi
Tujhe Mai Bhool Jau
Ya Tujhe Mai Yaad Karu

Tujhi Ko Soch Ke Likhta Hu


Jo Bhi Likhta Hu
Ab Likh Raha Hu
To Phir Kyun Na Ek Sawal Karu

Mai Is Sawal Se Gam Ko Badal Du Khushiyon Mein


Par In Bejaan Si Khushiyon Se Kya Kamaal Karu
Par Ab Sawaal Bhi Kamaal Tu Sambhal Le Filhal
Ye Sawal Bicha Jaal, Kya Mai Chaal Chalu

Chaal Chal Tu Apni


Mai Tujhe Pehchaan Lunga
Mai Apni Mehfilon Mein
Sirf Tera Hi Naam Lunga

Tujhe Pasand Hai Dheema Lehja Aur Bas Khaamoshiyan


Mai Tere Khatir Apni Khud Ki Saansein Thaam Lunga
Kya Tere Saare Aansu Mere Ho Sakte Hai?
Aisa Hai To Tere Khaatir Hum Bhi Ro Sakte Hai
Mere Khaatir Mere Rone Par
Ab Tum Bas Hans Dena Ek Bar
Tere Muskurahat Ke Pichhe
Hum Sab Kuch Kho Sakte Hai

Kya Meri Mohabbaton Ka Koi Hisaab Nahi Hai


Kyu Tere Aakhon Mein Mere Liye Koi Khwab Nahi Hai
Tujhe Kya Hi Karu Ghamzada, Ab Jaane De
Ke Tere Paas Mere Pyar Ka Jawab Nahi Hai

Kitni Muddatein Hui Hai


Tumne Khat Kyu Nahi Ye Bheja
Gaa Leta Hu Tere Liye
Mausiqui Nahi Hai Pesha

Aane Ki Khabar Hi Nahi Tere Ab


Ab Kya Mausam'on Se Puchu
Tere Aane Ka Andesha

Aakhon Mein Aansu Nahi Hai


Kahan Hai Tu, Kahan Tu Nahi Hai
Dil Ko Ye Ab Jaan’na Hi Nahi
Bas Tum Chale Aao...

Tu Hai Kahan
Khwabon Ke Is Shehar Mein
Mera Dil Tujhe Dhoondhta
Dhoondhta... Arsa Hua

Tujhko Dekha Nahi


Tu Na Jaane Kahan Chhup Gaya
Chup Gaya...

Aao Phir Se Hum Chale


Thaam Lo Ye Hath
Kar Do Kamm Ye Faasle
Naa Pata Ho Manzilon Ka, Naa Ho Raste
Tu Ho, Mai Hoon
Baithe Dono Phir Hum Taaron Ke Tale

Naa Subah Ho Phir, Naa Hi Din Dhale


Kuch Na Keh Sake, Kuch Na Sun Sake
Baatein Saari Wo, Dil Mein Hi Rahe
Tum Ko Kya Pata Hai Kya Ho Tum Mere Liye

Keh Kasha Ho Tum


Kahaniyo Ki Pariyon Ki Tarah Ho Tum
Mujh Mein Aa Sake Na Koi
Is Tarah Ho Tum
Ho Yakeen Tum Mera
Ya Phir Gumaan Ho Tum...

Aashiyan Ho Tum
Mai Bhatka Sa Musafir
Aur Makaan Ho Tum
Meri Manzilo Ka
Ek Hi Rasta Ho Tum
Dhoondhta Hai Dil Tujhe
Bata Kahan Ho Tum...

Ho Jahan Kahi Bhi, Aao Paas


Taaki Aansu Mere Tham Sake
Yaad Aa Rahe Ho Tum Mujhe
Ab Har Lamhe...

Aisi Zindagi Ka Kya


Jo Tum Zindagi Mein Hoke
Meri Zindagi Naa Ban Sake

Sochta Rahu Ya Bhool Jau Ab Tumhe


Tum Mil Hi Na Sakogi To Fir Kaise Chahu Ab Tumhe
Tere Saare Khwab Pal Mein Jod Denge
Jisme Tu Hi Na Basega, Phir Wo Dil Hi Tod Denge

Chhod Denge Wo Shehar


Ke Jisme Tum Na Hoge
Toot Jayenge Makaan
Wo Saare Hasrato Ke

Guzre Pal Jo Saath Tere


Woh Pal Hai Bas Sukoon Ke
Mil Lo Ab Tum Is Tarah Se
Ke Phir Nahi Miloge

Tu Hi Tha Sath Mein Mere


Kaise Mai Jeeyuga Akele
Taare Gin-ginke
Ho Gayi Hai Subah

Tu Hai Kahan
Khwabon Ke Is Shehar Mein
Mera Dil Tujhe Dhoondhta
Dhoondhta... Arsa Hua

Tujhko Dekha Nahi


Tu Na Jaane Kahan Chhup Gaya
Chup Gaya...

You might also like