0% found this document useful (0 votes)
2K views7 pages

Ye Jo Halka Halka Lyrics

1. The poem discusses the narrator's love and addiction for wine/intoxication that was caused by the beautiful glances and eyes of their beloved. 2. Every part of the narrator's being, from their soul to their daily prayers, is now devoted to the beloved because of the effect of their love and beauty. 3. The narrator has become completely dependent on the beloved's love, which is their whole life, and they praise the beloved and their intoxicating effect.

Uploaded by

SYED ALI
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
2K views7 pages

Ye Jo Halka Halka Lyrics

1. The poem discusses the narrator's love and addiction for wine/intoxication that was caused by the beautiful glances and eyes of their beloved. 2. Every part of the narrator's being, from their soul to their daily prayers, is now devoted to the beloved because of the effect of their love and beauty. 3. The narrator has become completely dependent on the beloved's love, which is their whole life, and they praise the beloved and their intoxicating effect.

Uploaded by

SYED ALI
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 7

Saaqi ki har nigah pe bal kha ke pii gaya

lehron se khelta hua lehra ke pii gaya


ae rehmat e tamam meri har khata muaaf
main intaha e shauq mein ghabra ke pii gaya

Peeta bagair izn ye kab thi meri majal


dar par tha chasm e yaar ki shehpa ke pii gaya
zahid ye meri shokhi e rindana dekhna
rehmat ko baton baton mein behla ke pii gaya

Oodi oodi ghataain aati hain


mutribon ki nawaain aati hain
kis ke gesoo khulain hain saawan main
mehkee mehkee hawain aati hain

aao sehn e chaman mein raqs karain


saaz lai kar ghataain aati hain
dekh kar un ki aankanion ko adam
maikadon ko hayaain aati hain

paas rehta hai door rehta hai


koi dil mein zaroor rehta hai
jab se dekha hai un ki aankon ko
halka halka suroor rehta hai

Aise rehte hain wo mere dil mein


jaise zulmat mein noor rehta hai
ab adam ka ye haal hai har waqt
mast rehta hai choor rehta hai

Ye jo halka halka
ye jo halka halka suroor hai
ye jo halka halka suroor hai
ye teri nazar ka qasoor hai
ke sharaab peena sikha diya

Ye teri nazar ka qasoor hai


ke sharaab peena sikha diya

Tere pyaar ne teri chah ne


teri behkee behkee nigah ne
mujhe ik sharaabi bana diya

Teri behkee behkee nigah ne, mujhe ik sharaabi bana diya

Sharaab kaisi
khumaar kaisa
ye sab tumhari nawazshain hain
pilaai hai is nazar se tu ne ke muj ko apni khabar nahin hai

Teri behkee behkee nigah ne


mujhe ik sharaabi bana diya
Teri behkee behkee nigah ne
mujhe ik sharaabi bana diya

Sara jahan mast, mast, mast, mast


Sara jahan mast

Sara jahan mast jahan ka nizam mast


din mast raat mast sehr mast shaam mast
mast sheesha mast subuu mast jaam mast
Sara jahan mast jahan ka nizam mast
din mast raat mast sehr mast shaam mast
mast sheesha mast subuu mast jaam mast
hai teri chasm e mast se hai khaas o aam mas

Yun to saaqi har tarah ki tere maikhaane mai hai


Yun to saaqi har tarah ki tere maikhaane mai hai
Wo bhi thori si
Wo bhi thori si jo in aankon ke paimaano mai hai

Wo bhi thori si jo in aankon ke paimaano mai hai


Wo bhi thori si jo in aankon ke paimaano mai hai

Sab samajta hoon teri ishwa gari ae saaqi


kam karti hai nazar naam hai beimaani ka

Teri behkee behkee nigah ne, mujhe ik sharaabi bana diya

Yun to saaqi, mere saaqi,mere saaqi saaqi mere saaqi

Mere saaqi saaqi mere saaqi


Mere saaqi saaqi mere saaqi

Main ne maana janab peeta hoon


Main ne maana janab peeta hoon
zindagi ka azaab peeta hoon
ban ke khaana kharab peeta hoon
roz e mehshar hasab ho na sake
issi liye be hasab peeta hoon

Mere saaqi saaqi mere saaqi


Mere saaqi saaqi mere saaqi

Jaam hai mahtaab hai saaqi


sara mausam sharaab hai saaqi
sara mausam sharaab hai saaqi
Jaam hai mahtaab hai saaqi
sara mausam sharaab hai saaqi
baaz lamhat aise hote hain
baaz lamhat aise hote hain
jin mai peena sawab hai saaqi

Mere saaqi saaqi mere saaqi


Mere saaqi saaqi mere saaqi
Mere saaqi saaqi mere saaqi

Yun to saaqi har tarah ki tere maikhaane mai hai


Yun to saaqi har tarah ki tere maikhaane mai hai
Wo bhi thori si jo in aankon ke paimaano mai hai

Sab samajta hoon teri ishwa gari ae saaqi


kam karti hai nazar naam hai beimaani ka

Teri behkee behkee nigah ne


mujhe ik sharaabi bana diya
Teri behkee behkee nigah ne
mujhe ik sharaabi bana diya

Tera pyar hai meri zindagi


Tera pyar hai meri zindagi
teri yaad hai meri bandagi

Tera pyar hai bas meri zindagi


Tera pyar hai bas meri zindagi
Tera pyar hai bas meri zindagi
Tera pyar hai bas meri zindagi

Na namaz aati hai


Na namaz aati hai mujh ko na wuzu aata hai
sajda kar leta hoon jab saamne tu aata hai

Kyunke bas meri zindagi tera pyar hai


Tera pyar hai bas meri zindagi

Main azal se banda e ishq hoon


mujhe zuhd o kufr ka gham nahi
mujhe zuhd o kufr ka gham nahi
mere sar ko dar tera mil gaya
mujhe ab talash e harm nahin
meri bandagi hai wo bandagi
jo ba-qaid-e-dair-o-haram nahin
mera ek nazar tumhen dekhnaa
baa-khudaa namaaz se kam nahiin

Tera pyar hai bas meri zindagi


Tera pyar hai bas meri zindagi
Tera pyar hai bas meri zindagi

Tera naam loon


Tera naam loon
Subh o sham
Tera naam loon zuban se
Tera naam loon zuban se
tere aage sar jhukaa loon
Tera naam loon zuban se
tere aage sar jhukaa loon
mera ishq keh raha hai mai thuje khuda bana looN

Tera naam mere lab par mera tazkara hai ghar ghar
mujhe bhool jaye duniya mai agar tujhe bhula doon
“mujhe bhool jaye duniya mai agar tujhe bhula doon
mere dil mai bas rahaiN hain tere be panah jalwe
na hoN jis mai noor tera wo charaagh hi bujha dooN

Teri dillagi ke sadqe teri sangdali ke qurbaN


mere gham pe hasnay wale tujhe kon si dua dooN

Qiyamat main tera daagh e mohabbat lay ke uthuu ga

mere gham pe hasnay wale tujhe kon si dua dooN


mere gham pe hasnay wale tujhe kon si dua dooN

mere gham pe hasnay wale tujhe kon si dua dooN


mere gham pe hasnay wale tujhe kon si dua dooN

Teri dillagi ke sadqe teri sangdali ke qurbaN


Teri dillagi ke sadqe teri sangdali ke qurbaN

Teri dillagi ke main sadqe


Teri dillagi ke main sadqe

Zulf rukh say hata kay baat karo


raat ko din bana kay baat karo
maikaday ke charaagh madham hain
zara aankain utha kay baat karo
phool kuch chahiye hazoor hamain
tum zara muskara ke baat karo
ye bhi andaaz e guftagoo hai koi
jab karo dil dukha ke baat karo
//Teri dillagi ke main sadqe

Zara apni shokhi to daikhiye


liye zulf kham shuda haath main
mere paas aaye dabe dabe
mujhe saanp keh kai dara diya
//Teri dillagi ke main sadqe

Dil ki talab hai aur tamanna hai jaan ki


kiya meherbaaniya hain meray meharbaan ki
nazuq mazaj ho na koi yaar ki tarah
kichta hai baat baat pe talwat ki tarah
qeemat laga raha hai magar sab ke saame

nazuq mazaj ho na koi yaar ki tarah


kichta hai baat baat pe talwat ki tarah
dil muft chahta hai magar sab ke saamne
qeemat laga raha hai khareedar ki tarah
//Teri dillagi ke main sadqe

Teri dillagi ke sadqe teri sangdali ke qurbaN


mere gham pe hasnay wale tujhe kon si dua dooN

Qiyamat main tera daagh e mohabbat lay ke uthuu ga


teri tasveer us dam bhi kaleje se lagi ho gi
//kyunke bas meri zindagi tera pyar hai

bas meri zindagi tera pyar hai


bas meri zindagi tera pyar hai

-Tera pyar hai meri zindagi, teri yaad hai meri bandagi, jo teri khushi
wo meri khushi
ye mere junnoN ka hai maujzaa, jaha apne sar ko jukha diya wahan
maiN ne kaba bana diya-

Mere baad kis ko sataao gai


Mere baad kis ko sataao gai

Main ne un ke saamne awwal to khanjar rakh diya


phir kaleja rakh diya dil rakh diya sar rakh diya
//aur araz kiya mere baad kis ko sataao gai

Mere baad kis ko sataao gai


Mere baad kis ko sataao gai

MaiN ne kaha mijgaaN hai ye us ne kaha ye teer hai


maiN ne kaha abroo hai ye us ne kaha shamsheer hai
MaiN ne kaha chehre pay kyun bal khati haiN zulfain to bataa
us ne kaha ye aashiqoN ke waaste zanjeer hai
MaiN ne kaha furqat mai teri jaan par khela hooN maiN
us ne kaha zinda raha ye bhi teri taqdeer hai

MaiN ne tum ko dil diya, tum ne mujhe ruswaa kiya


maiN ne tum se kya kiya aur tum ne mujh se kya kiya
//Mere baad kis ko sataao gai

(Chants)

Mere baad kis ko sataao gai


Mere baad kis ko sataao gai

Jitna jee chahe sataao waqt hai, bekason par muskaraao waqt hai
dekh lena main na tarpoon ga zaheer, shauq se khanjar chalaao
waqt hai
meri wafaaian yaad karo gai, roOn(cry) gai fariyad karo gai
mujh ko to barbaad kiya hai, aur kise barbaad karo gai
Aa kar bhi nashaad kiya hai, ja kar bhi nashaad karo gai

Tera zulm nahi hai shaamil gar meri barbaadi mai


teri aankhain bheeg raheen hain kyun mere afsaane sai
//par ye to bata do phir mere baad kis ko sataao gai

Mere baad kis ko sataao gai


Mere baad kis ko sataao gai

Jo poocha ke kis tareh hoti hai baarish jabeeN se paseenay ki


boondaiN gira diiN
jo poocha ke kis tareh girti hai bijli nighaahaiN milaaiN mila kar
jukha diiN
jo poocha shab o roz milte haiN kaisay to chehre pe apne wo zulfaiN
giraN diiN
jo poocha ke naghmoN mai jaado hai kaisa to meethe takallum mai
baataiN suna diiN
jab apni tamannaaoN ka haal poocha to jalti hui chand shammaiN
bhujaa diiN

MaiN kehta reh gaya khata e mohabbat ki achi saza di


meray dil ki duniya bana kar mata di
//acha phir mere baad kis ko sataao gai

Mere baad kis ko sataao gai


Mere baad kis ko sataao gai

Kuch aisi qaid na nighahoN mai dhal gaye arman e aarozoo ki janah
se nikal gaye
qismat phiri to phir gaye ahbaab is tarah dekha hamay to door se
rasta badal gaye
//mere baad kis ko sataao gai

-Mere baad kis ko sataao gai, muhje kis tarah se mitaao gai, kaha ja
kar teer chalaao gai
meri dosti ki balaaiN lo, mujhe haath utha kar duaaiN do, tumhe aik
qaatil bana diya-

(qawwali ends)

Ye jo halka halka suroor hai, ye teri nazar ka qasoor hai, ke sharaab


peena sikha diya

You might also like